December 2, 2014

Saraswati Aarti Lyrics- Om Jai Saraswati Mata

Om jai saraswati mata, jai jai saraswati mata Sadgun vaibhav shalini, tribhuvan vikhyata Jai jai saraswati mata Chandravadani padmasini dyuti mangal kaari Sohe shubh hans sawaari, atul tej dhaari Jai jai saraswati mata Baaye kar mein veena, daaye kar mala Sheesh mukut mani shohe, gale motiyan mala Jai jai saraswati mata Devi sharan jo aaye, unka uddhar kiya Baithi manthra dasi, rawan sanhar kiya Jai jai saraswati mata Vidya gyan pradayini, jag mein gyan prakash bharo Moh aur agyan timir ka jag se nash karo Jai jai saraswati mata Dhoop deep fal meva, man swikaar karo Gyanchkshu de mata , jag nistar karo Jai jai saraswati mata Maa sarswati ji aarti jo koi nar gave Hitkari shukhkari gyan bhakti pave Jai jai saraswati mata

No comments:

Post a Comment