Mangal mai bhaya mochini, Durga sukh ki khaan
Jiske charno ki sudha, Swayam piye bhagwaan
Dukh nashak sanjeevani, Nav durga ka paath
Jisase banta bhikshuk bhi, Duniya ka samrat
Amba divya swarupani, Kaye so prakash
Prithvi jisase jyotirmay, Ujawal hai aakash
Durga param sanatani, Jag ke sirjan haar
Aadi bhawaani maha devi, Shristi ka aadhaar
Jai jai durge maa...
Sadd marg pradarshini, Nyan ka ye updesh
Man se karta jo manan, Usake kate kalesh
Jo bhi vipatti kaal mein, Kare ri durga jaap
Puran ho man kamna, Bhage dukh santap
Utpan karta vishv ki, Shakti aprampar
Iska archan jo kare, Bhav se utre paar
Durga sok vinashini, Mamta ka hai roop
Sati satvi satvanti, Sukh ke kala anup
Jai jai durge maa...
Vishnu brahma rudra bhi, Durga ke hai adheen
Buddhi vidya vardhani, Sarva siddhi praveen
Lakh chaurasi yoniyan, Se ye mukti de
Maha maya jagdambike, Jab bhi dayaa kare
Durga durgati nashini, Shiv vahini shukhkar
Ved mata ye gayatri, Sabke palanhar
Sada surakshit wo jan hai, Jis par maa ka haath
Vikat dagariya pe usaki, Kabhi na bigde baat
Jai jai durge maa...
Maha gauri vardayini, Maiya dukh nidaar
Shiv duti bramhachaarini, karti jag kalyan
Sankat harni bhagwati, Ki tu mala pher
Chinta sakal mitayegi, Ghadi lage na der
Paras charnan durga ke, Jhuk jhuk matha tek
Sona lohe ko kare, Adbhut kautak dek
Bhavtarak parmeshwari, Leen kare anant
isake vandan bhajan se, Paapo ka ho ant
Jai jai durge maa
Durga maa dukh harne waali, Mangal mangal karne wali
Bhay ke sarp ko marne wali, Bhav needhi se jag taarne wali
Atyachar pakhand ki damni, Ved purano ki ye janani
Daitya hi abhiman ke mare, Deen heen ke kaaj sanwaare
Sarv kalaon ki ye malik, Sarnagat dhan heen ki palak
Ichchhit var pradan hai karti, Har mushkil aasan hai karti
Dhyamari ho har bhram mitave, kan kan bhitar kala dikhave
Kare asambhav ko ye sambhav, Dhan dhanya or deti vaibhav
Maha siddhi maha yogini mata, Mahisa sur ki mardini mata
Puri kare har man ki asha, Jag hai iska khel tamasha
Jai durga jai jai damyanti, Jeevan dayini ye hi jayanti
Ye hi savitri ye koukari, Maha vidya ye karo upkari
Siddh manorath sabke karti, Bhakt jano ke sankat harti
Vish ko amrit karti pal mein, Yehi tairati patthar jal mein
Iski karuna jab hai hoti, Maati ka kan banta moti
Patjhad mein ye phool khilaave, Andhiyare mein jyot jalaave.
Vedon mein varnit mahima iski, Aisi sobha or hai kisaki
Ye narayani ye hi jwaala, Japiye iske naam ki mala
Ye hi hai sukeshwari mata, Iska vandan kare vidhaata
Pag pankaj ki dhuli chandan, Iska dev kare abhinandan
Jagdamba jagdiswari, Durga dayaa nidhaan
Iski karuna se bane, Nirdhan bhi dhanwaan
Chhin masta jab rang dikhaave, Bhagyheen ke bhagya jagaave
Siddhi daati aadi bhawaani, Isko sewat hai brahm gyaani.
Shail sutama sahkti saala, Iska har ek khel niraala
Jis par hove anugrah iska, Kabhi amangal ho na uska
Iski dayaa ke pankh lagaa kar, Ambar chhute hain kayi chaakar
Rayi ye hi parwat karti, Gaagar mein hai saagar bharti
Iske kabze jag ka sab hai, Shakti ke bin shiv bhi sav hai
Shakti hi hain shiv ki maya, Shakti ne bramhand rachaaya
Is sakti ka sadhak banana, Nisthawan upasak banna
Pushpanda bhi naam hai isaka, Kan kan mein hai ghaam isaka
Durga maa prakaas swaroopa, Jap tap gyaan tapasya roopa
Man mein jyot jala lo isaki, Saachi lagan lagaa lo iski
Kaal raatri ye maha maya, Shridhar ke sir iski chhaya
Iski mamta pawan jhula, Jisko dhyanu bhakt na bhula
Iska chintan chinta harta, Bhakto ke bhandar hai bharta
Sanson ka sur mandal chhedo, Nav durga se muh na modo
Chandra ghanta katyayani, Maha dayalu maa shiwani
Iski bhakti kasht niware, Bhav sindhu se paar utaare
Agmanant agochar maiya, Sheetal madhukar iski chhaiya
Shristi ka hai mul bhawaani, Ise kabhi na bhulo praani
Durga maa prakas swaroopa, Jap tap gyan tapsya roopa
Man mein jyot jala lo isaki, Sachi lagan lagaa lo isaki
Durga ki kar sadhana, man mein rakh vishwash
Jo magoge paoge, kya nahi maa ke paas...
No comments:
Post a Comment