Showing posts with label Durga Bhajan. Show all posts
Showing posts with label Durga Bhajan. Show all posts

December 2, 2014

Maa Bhajan Aarti Lyrics - Kaisi ye Der Lagai

He maat meri, He maat meri, kaisi yeh der lagai he durge || he maat... Bhavsaagar mein gira pada hoon, kaam aadi grah mein ghira pada hoon, moh aadi jaal mein jakda pada hoon || he maat... Na mujhmein bal hai na mujhmein vidya, Na mujhmein bhakti, Na mujhmein Shakti, Sharan tumhari gira pada hoon || he maat... Na koi mera kutumb saathi, na hi mera sharir saathi, Aap hi ubaaro pakad ke baahin|| he maat... Charan kamal ko nauka banakar, main paar hoonga khooshi manakar, Yamdooton ko maar bhagakar || he maat... Sada hi tere gunon ko gaaoon, sada hi tere swaroop ko dhyaaoon, Nit prati tere gunon ko gaaoon || he maat... Na main kisika, na koi mera, chhaya hai chaaron taraf andhera, Pakad ke jyoti dikha do rasta || he maat... Sharan pade hain ham tumhari, karo yah naiya paar hamari, Kaisi yeh deri lagai hai durge || he maat...

Maa Durga Bhajan Lyrics- Aye Tere Bhavan

O aye tere bhawan, de de apni sharan - 2 Rahe tujhmein magan, thaam kar ye charan Tann mann mein bhakti jyoti teri hey mata jalti rahe - 2 O aye tere bhawan, de de apni sharan - 2 Rahe tujhmein magan, thaam kar ye charan Tann mann mein bhakti jyoti teri hey mata jalti rahe - 2 Utsav manayen naachen gaayen - 2 chalo maiya ke darr jayen Jai mata di Jai mata di Zor se bolo Jai mata di Charon dishayen char kanden bani hain Mandap pe aasman ki chaadar tani hai Suraj ki kirnon ki mala le aaya Kudrat ne dharti ka aangan sajaya Kar ke tere darshan jhoome dharti gagan Sansan gaye pavan, sabhi tujh mein magan Tann mann mein bhakti jyoti teri hey mata jalti rahe - 2 Phoolon ne rangon se rangoli sajayi - 2 Sari dharti ye mehkayi, Jai mata di Jai mata di Zor se bolo Jai mata di Charnon mein behti hai Ganga ki dhara Arati ka deep lagey har ek sitara Purvaiya dekho chanvar kaise jhulaye Rituyen bhi mata ka jhoola jhulayen Pakey bhakti ka tann, hua paavan ye mann Karke tera sumiran, khuley antarmann Tann mann mein bhakti jyoti teri hey mata jalti rahe - 2 O aye tere bhawan, de de apni sharan Rahe tujhmein magan, thaam kar ye charan Tann mann mein bhakti jyoti teri hey mata jalti rahe - 2

Durga Maa Bhajan Lyrics- Chalo Bulawa Aya Hai

Mata jinko yad kare woh log nirale hote hai Mata jinka nam pukare kismatwale hote hai Chalo bulawa aaya hai mata ne bulaya hai - (2) Chalo bulawa aaya hain -2 mata ne bulaya hain, jai mata dee Chalo bulawa aaya hain mata ne bulaya hain Ho unnchhe parvat pe rani ma ne darbar lagaya hai Chalo bulawa aaya hain, mata ne bulaya hain, jai mata dee Chalo bulawa aaya hain mata ne bulaya hain Sare jag me ek thikana sare gham ke maro kaa - (2) Ho.., (rasta dekh rahi hai mata apani aankh ke taro kaa -2) Ho.., mast hawao kaa ek jhonka yeh sandesa laya hai Chalo bulawa aaya hain, mata ne bulaya hain (Jai mata dee.... -3 kehte jao) - (2) Jai mata dee -2 kehte jao aane janey walo ko Chalte jao tum mat dekho apne pao ke chhalo ko - (2) Ho..., jisne jitna dard saha hai utna chain bhi paya hai Chalo bulawa aaya hai mata ne bulaya hai, jai mata dee Vaishno devi ke mandir me -2, log muraden pate hai Woh rote rote aate hain, hanste hanste jate hain - (2) Ho.., mai bhi mang ke dekhu, jisne jo manga woh paya hain Chalo bulawa aaya hai, mata ne bulaya hai, jai mata dee Mai bhi toh ek ma hu mata, ma hee ma ko pehchane - (2) Bete kaa dukh kya hota hai aur koyi yeh kya janey Ho, usaka khu mai dekhu kaise jisko dudh pilaya hain Ho chalo bulawa aaya hai mata ne bulaya hai - (2) Chalo bulawa aaya hai, mata ne bulaya hai - (5) Toh prem se bolo, jai mata dee Sare bolo, jai mata dee, jai mata dee, jai mata dee... Vaishno rani, jai mata dee Ham pe kalyani, jai mata dee Ma bholi bhali, jai mata dee Ma shero wali, jai mata dee Jholi bhar deti, jai mata dee Samkat har leti, jai mata dee, jai mata dee.....

Maa Durga Bhajan Lyrics- Sherawali Mata Ka

Ashi char churashi kanthyawali mata, teri sada hi jai
 Uchiya pahada wali mata, teri sada hi jai
 Uchiya latha wali mata, teri sada hi jai
Sherowali mata ka jab naam jhuba par aata hai
 Sherowali mata ka jab naam jhuba par aata hai
 Janam safal ho jata hai, janam safal ho jata hai
 Janam safal ho jata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Jai mata di, jai mata di, jai mata di, jai mata di
 Jago sone walo, arey jago sone walo, darshan dene wali mata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ke darshan karne se, maan mandir ban jata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Jai mata di, jai mata di, jai mata di, jai mata di
Khushiya bate sherowali, khushiya bate sherowali
 Logo bhar lo jholiya khali, kuch mat mango banke sawali
 Mata ke bhakto ko bin mange sab mil jata hai
 Janam safal ho jata hai, janam safal ho jata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
Aao chale sab gam ke mare, aao chale sab gam ke mare
 Jag jivan ke rashte sare, aate hai mata ke daware
 Mata ke daware se sidha swrag ko rashta jata hai
 Janam safal ho jata hai, janam safal ho jata hai
 Janam safal ho jata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
Jhuti khushi se khush mat hona, jhuti khushi se khush mat hona
 Sancha jal kab mile mat rona, ye jivan me ek sawpan salona
 Jo khoya jo paya jag me, jag me hi rah jata hai
 Janam safal ho jata hai, janam safal ho jata hai
 Janam safal ho jata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Mata ka jagrata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Sherowali mata ka jab naam jhuba par aata hai
 Janam safal ho jata hai, janam safal ho jata hai
 Janam safal ho jata hai, aaj mata ka jagrata hai
 Jai mata di, jai mata di, sherowali mata ki jai jai bolo
 Sherowali mata ki jai jai bolo, ho bahrowali mata ki jai jai bolo
 Bahrowali mata ki jai jai bolo, jai mata di, jai mata di, jai mata di
 Jai mata di, jai mata di, jai mata di, jai mata di, jai mata di
 Sare bolo, jai mata di, sare bolo, jai mata di, jai mata di.

Maa Jadamba Aarti Lyrics- Ambe Tu Hai

Ambe tu hai jagdambe kali jay durge khappar wali
Tere hi gun gaye bharti ho maiya ham sab utare teri aarti
Tere jagat ke bhakt janan par bheed padi hai bhari maa
Danaw dal par toot pado maa karke singh sawari
Sau sau singho se tu bal shali
Asth bhujao wali dushton ko pal mein sangharti
O maiya hum sab utarey teri aarti
Maa bete ka hai ish jag mein bada hi nirmal nata
Poot kaput sune hai par na mata suni kumata
Sab par karuna darshane wali amrit barsane wali
Dukhiyon ke dukhade nivarti
O maiya hum sab utare teri aarti
Nahi mangte dhan aur daulat na chandi na sona maa
Hum to mange maa tere man mein ek chhota sa kona
Sab ki bigdi banane wali laaj bachane wali
Satiyo ke sat ko sanwarti
O maiya hum sab utare teri aarti
Ambe tu hai jagdambe kali jay durge khappar wali
Tere hi gun gaye bharti ho maiya ham sab utare teri aarti

Durga Amritvani Lyrics- Mangalmai Bhav Mochini

Mangal mai bhaya mochini, Durga sukh ki khaan Jiske charno ki sudha, Swayam piye bhagwaan Dukh nashak sanjeevani, Nav durga ka paath Jisase banta bhikshuk bhi, Duniya ka samrat Amba divya swarupani, Kaye so prakash Prithvi jisase jyotirmay, Ujawal hai aakash Durga param sanatani, Jag ke sirjan haar Aadi bhawaani maha devi, Shristi ka aadhaar Jai jai durge maa... Sadd marg pradarshini, Nyan ka ye updesh Man se karta jo manan, Usake kate kalesh Jo bhi vipatti kaal mein, Kare ri durga jaap Puran ho man kamna, Bhage dukh santap Utpan karta vishv ki, Shakti aprampar Iska archan jo kare, Bhav se utre paar Durga sok vinashini, Mamta ka hai roop Sati satvi satvanti, Sukh ke kala anup Jai jai durge maa... Vishnu brahma rudra bhi, Durga ke hai adheen Buddhi vidya vardhani, Sarva siddhi praveen Lakh chaurasi yoniyan, Se ye mukti de Maha maya jagdambike, Jab bhi dayaa kare Durga durgati nashini, Shiv vahini shukhkar Ved mata ye gayatri, Sabke palanhar Sada surakshit wo jan hai, Jis par maa ka haath Vikat dagariya pe usaki, Kabhi na bigde baat Jai jai durge maa... Maha gauri vardayini, Maiya dukh nidaar Shiv duti bramhachaarini, karti jag kalyan Sankat harni bhagwati, Ki tu mala pher Chinta sakal mitayegi, Ghadi lage na der Paras charnan durga ke, Jhuk jhuk matha tek Sona lohe ko kare, Adbhut kautak dek Bhavtarak parmeshwari, Leen kare anant isake vandan bhajan se, Paapo ka ho ant Jai jai durge maa Durga maa dukh harne waali, Mangal mangal karne wali Bhay ke sarp ko marne wali, Bhav needhi se jag taarne wali Atyachar pakhand ki damni, Ved purano ki ye janani Daitya hi abhiman ke mare, Deen heen ke kaaj sanwaare Sarv kalaon ki ye malik, Sarnagat dhan heen ki palak Ichchhit var pradan hai karti, Har mushkil aasan hai karti Dhyamari ho har bhram mitave, kan kan bhitar kala dikhave Kare asambhav ko ye sambhav, Dhan dhanya or deti vaibhav Maha siddhi maha yogini mata, Mahisa sur ki mardini mata Puri kare har man ki asha, Jag hai iska khel tamasha Jai durga jai jai damyanti, Jeevan dayini ye hi jayanti Ye hi savitri ye koukari, Maha vidya ye karo upkari Siddh manorath sabke karti, Bhakt jano ke sankat harti Vish ko amrit karti pal mein, Yehi tairati patthar jal mein Iski karuna jab hai hoti, Maati ka kan banta moti Patjhad mein ye phool khilaave, Andhiyare mein jyot jalaave. Vedon mein varnit mahima iski, Aisi sobha or hai kisaki Ye narayani ye hi jwaala, Japiye iske naam ki mala Ye hi hai sukeshwari mata, Iska vandan kare vidhaata Pag pankaj ki dhuli chandan, Iska dev kare abhinandan Jagdamba jagdiswari, Durga dayaa nidhaan Iski karuna se bane, Nirdhan bhi dhanwaan Chhin masta jab rang dikhaave, Bhagyheen ke bhagya jagaave Siddhi daati aadi bhawaani, Isko sewat hai brahm gyaani. Shail sutama sahkti saala, Iska har ek khel niraala Jis par hove anugrah iska, Kabhi amangal ho na uska Iski dayaa ke pankh lagaa kar, Ambar chhute hain kayi chaakar Rayi ye hi parwat karti, Gaagar mein hai saagar bharti Iske kabze jag ka sab hai, Shakti ke bin shiv bhi sav hai Shakti hi hain shiv ki maya, Shakti ne bramhand rachaaya Is sakti ka sadhak banana, Nisthawan upasak banna Pushpanda bhi naam hai isaka, Kan kan mein hai ghaam isaka Durga maa prakaas swaroopa, Jap tap gyaan tapasya roopa Man mein jyot jala lo isaki, Saachi lagan lagaa lo iski Kaal raatri ye maha maya, Shridhar ke sir iski chhaya Iski mamta pawan jhula, Jisko dhyanu bhakt na bhula Iska chintan chinta harta, Bhakto ke bhandar hai bharta Sanson ka sur mandal chhedo, Nav durga se muh na modo Chandra ghanta katyayani, Maha dayalu maa shiwani Iski bhakti kasht niware, Bhav sindhu se paar utaare Agmanant agochar maiya, Sheetal madhukar iski chhaiya Shristi ka hai mul bhawaani, Ise kabhi na bhulo praani Durga maa prakas swaroopa, Jap tap gyan tapsya roopa Man mein jyot jala lo isaki, Sachi lagan lagaa lo isaki Durga ki kar sadhana, man mein rakh vishwash Jo magoge paoge, kya nahi maa ke paas...

Maa Durga Aarti Lyrics- Jai Ambe Gauri

Jai ambe gauri maiya jai shyama gauri Tumako nishadin dhyawat hari bramha shivaji Maiya jai ambe gauri Mang sindur virajat tiko mrigamad ko Ujjwal se dou naina chandrawadan niko Maiya jai ambe gauri Kanak saman kalevar raktambar raje Rakt pushp gal mala kanthan par saje Maiya jai ambe gauri Kehari wahan rajat khadag khappar dhari Sur-nar-munijan sewat tinake dukhahari Maiya jai ambe gauri Kaanan kundal shobhit nasagre moti Kotik chandr diwakar rajat sam jyoti Maiya jai ambe gauri Shumbh-nishumbh bidare mahishasur ghati Dhumr vilochan naina nishadin madamati Maiya jai ambe gauri Chand-mund sanhare shonit bij hare Madhu-kaitabh dou mare sur bhayahin kare Maiya jai ambe gauri Bramhani rudranitum kamala rani Agam nigam bakhanitum shiv patarani Maiya jai ambe gauri Chausath yogini mangal gawatnritya karat bhairu Bajat tal mridangaaru baajat damaru Maiya jai ambe gauri Tum hi jag ki mata tum hi ho bharata Bhaktan ki dukh harta sukh sampati karta Maiya jai ambe gauri Bhuja char ati shobhivaramudra dhari Manwanchhit fal pawat sewat nar nari Maiya jai ambe gauri Kanchan thal virajat agar kapur bati Shrimalaketu mein rajat koti ratan jyoti Maiya jai ambe gauri Shri ambeji ki arati jo koi nar gave Kahat shivanand swami sukh-sampatti pave Maiya jai ambe gauri

Durga Chalisa Lyrics-

Namo namo Durge sukh karani, Namo namo Ambe dukh harani. Nirankar hai jyoti tumhari Tihun lok pheli ujayari. Shashi lalat mukh maha vishala, Netra lal brikuti vikrala. Roop matu ko adhika suhave, Daras karat jan ati sukh pave. Tum sansar shakti laya kina, Palan hetu anna dhan dina. Annapurna hui jag pala, Tumhi adi sundari bala. Pralaya kal sab nashan hari, Tum Gauri Shiv Shankar pyari. Shiv yogi tumhare gun gave, Brahma Vishnu tumhe nit dhyaven. Roop Saraswati ko tum dhara, De subudhi rishi munin ubara Dharyo roop Narsimha ko Amba, Pragat bhayin phar kar kamba. Raksha kari Prahalad bachayo, Hiranakush ko swarg pathayo. Lakshmii roop dharo jag mahi, Shree Narayan ang samahi Ksheree Sindhu karat vilasa, Daya Sindhu deejay man aasa Hingalaj mein tumhi Bhavani, Mahima amit na jaat bakhani Matangi Dhoomavati Mata, Bhuvneshwari Bagala Sukhdata Shree Bairav Tara jog tarani, Chin-na Bhala bhav dukh nivarani. Kehari Vahan soh Bhavani, Langur veer chalat agavani Kar men khappar khadag viraje, Jako dekh kal dar bhaje. Sohe astra aur trishoola, Jase uthata shatru hiya shoola Nagarkot mein tumhi virajat, Tihun lok mein danka bajat Shumbhu Nishumbhu Danuja tum mare, Rakta-beeja shankhan samhare. Mahishasur nripa ati abhimani, Jehi agha bhar mahi akulani Roop kaaral Kalika dhara, Sen sahita tum tin samhara Pari garha santan par jab jab, Bhayi sahaya Matu tum tab tab Amarpuri aru basava loka, Tava mahima sab rahen asoka Jwala mein hai jyoti tumhari, Tumhen sada pujan nar nari Prem bhakti se jo yash gaye, Dukh-daridra nikat nahin ave Dhyave tumhen jo nar man laee, Janam-maran tako chuti jaee. Jogi sur-muni kahat pukari, Jog na ho bin shakti tumhari Shankar Aacharaj tap keenhon, Kam, krodh jeet sab leenhon Nisidhin dhyan dharo Shanker ko, Kahu kal nahin sumiron tum ko Shakti roop ko maram na payo, Shakti gayi tab man pachitayo Sharnagat hui keerti bakhani, Jai jai jai Jagdamb Bhavani Bhayi prasanna Aadi Jagdamba, Dayi shakti nahin keen vilamba Mokun Matu kashta ati ghero, Tum bin kaun hare dukh mero Asha trishna nipat sataven, Moh madadik sab binsaven Shatru nash keeje Maharani, Sumiron ekachita tumhen Bhavani Karo kripa hey Matu dayala Riddhi-Siddhi de karahu nihala Jab lagi jiyoon daya phal paoon, Tumro yash mein sada sunaoon, Durga chalisa jo gaye, Sab sukh bhog parampad pave Devidas sharan nij jani, Karahu kripa Jagdamb Bhavani