He maat meri, He maat meri, kaisi yeh der lagai he durge ||
he maat...
Bhavsaagar mein gira pada hoon, kaam aadi grah mein ghira pada hoon, moh aadi jaal mein jakda pada hoon ||
he maat...
Na mujhmein bal hai na mujhmein vidya, Na mujhmein bhakti, Na mujhmein Shakti, Sharan tumhari gira pada hoon ||
he maat...
Na koi mera kutumb saathi, na hi mera sharir saathi, Aap hi ubaaro pakad ke baahin||
he maat...
Charan kamal ko nauka banakar, main paar hoonga khooshi manakar, Yamdooton ko maar bhagakar ||
he maat...
Sada hi tere gunon ko gaaoon, sada hi tere swaroop ko dhyaaoon, Nit prati tere gunon ko gaaoon ||
he maat...
Na main kisika, na koi mera, chhaya hai chaaron taraf andhera, Pakad ke jyoti dikha do rasta ||
he maat...
Sharan pade hain ham tumhari, karo yah naiya paar hamari,
Kaisi yeh deri lagai hai durge ||
he maat...
No comments:
Post a Comment